phir bapa shahar mein afraatafri kar jae koi ye sukhi hui dar hari kar jae jab bhi iqrar ki kuchh raushaniyan jama karun meri tardid meri be-basari kar jae madan-e-shab se nikale zar-e-khushbu aa kar aae ye moajiza baad-e-sahari kar jae kasraten aaen nazar zat ki yaktai mein ye tamasha kabhi aashufta-sari kar jae lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi ka faeda shak ka mujhe de ke bari kar jae us ka mear hi kya roz badal jata hai chhodiye! wo jo agar na-qadri kar jae