phir bhayanak tirgi mein aa gae hum gajar bajne se dhoka kha gae hae khwabon ki khayaban-saziyan aankh kya kholi chaman murjha gae kaun the aakhir jo manzil ke qarib aaine ki chadaren phaila gae kis tajalli ka diya hum ko fareb kis dhundalke mein hamein pahuncha gae un ka aana hashr se kuchh kam na tha aur jab palte qayamat dha gae ek paheli ka hamein de kar jawab ek paheli ban ke har su chha gae phir wahi akhtar-shumari ka nizam hum to is takrar se ukta gae rahnumao raat abhi baqi sahi aaj sayyare agar takra gae kya rasa nikli dua-e-ijtihad wo chhupate hi rahe hum pa gae bas wahi memar-e-farda hain 'nadim' jin ko mere walwale ras aa gae