wo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zamin suraj ki ungliyon se phisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain wo be-khabar hain ki meri zanjir dhire dhire pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhaari gali mein lekin mere lahu se tumhaari diwar gal rahi hai na jalne pate the jis ke chulhe bhi har sawere suna hai kal raat se wo basti bhi jal rahi hai main jaanta hun ki khamushi mein hi maslahat hai magar yahi maslahat mere dil ko khal rahi hai kabhi to insan zindagi ki karega izzat ye ek ummid aaj bhi dil mein pal rahi hai