phir bhig chalin aankhen chalne lagi purwai har zakhm hua taza har chot ubhar aai phir yaad koi aaya phir ashk umad aae phir ishq ne sine mein ek aag si bhadkai barbaad-e-mohabbat ka aalam hi ajab dekha sau bar lahu roya sau bar hansi aai rahta hai khayalon mein phirta hai nigahon mein ek shahid-e-rangin ka wo aalam-e-ranai kis rang se gulshan mein wo jaan-e-bahaar aaya aanchal ki hawa aai zulfon ki ghata chhai phir sehn-e-gulistan mein ek mauj hui raqsan phir meri nigahon mein zanjir si lahrai ai husn tere dar ki azmat hai nigahon mein kab ishq ko aate the aadab-e-jabin-sai kya kya dil-e-muztar ke arman machalte hain taswir-e-qayamat hai zalim teri angdai ek ruh-e-tarannum ne ek jaan-e-taghazzul ne phir aaj nai dhun mein 'muztar' ki ghazal gai