ye kisi shakhs ko khone ki talafi thahra mera hona mere hone mein izafi thahra jurm-e-adam teri padash thi duniya sari aakhirash har koi haq-dar-e-muafi thahra ye hai tafsil ki yak-lamha-e-hairat tha koi mukhtasar ye ki meri umr ko kafi thahra kuchh ayan ho na saka tha teri aankhon jaisa wo badan ho ke barahna bhi ghilafi thahra jab zamin ghum rahi ho to thaharna kaisa koi thahra to thaharne ke munafi thahra qafiya milte gae umr ghazal hoti gai aur chehra tera buniyaad-e-qawafi thahra