phir ek nai khalish ki shuruat ho gai dil jis se dar raha tha wahi baat ho gai kya meri un ki baat hui ye na puchhiye ab kya bataun ho gai jo baat ho gai wo muskura ke ek nazar mujh ko dekh len ye baat ho gai to badi baat ho gai hum rah-rawan-e-shauq ki manzil na puchhiye din ho gaya kahin to kahin raat ho gai daman jo tar hua to 'ziya' yun laga mujhe jaise koi ghata uthi barsat ho gai