phir faza dhundla gai aasar hain tufan ke kanpte hain phul kamre mein mere gul-dan ke chal rahe hain dil mein nakhlistan ka arman liye hum musafir zindagi ke tapte registan ke sail-e-gham rakhta hai yun mere iradon ko jawan jis tarah sailab mein phalte hain paude dhan ke tod dega ek na ek din ye tilism auham ka saf dete hain pata tewar nae insan ke dosto jis dam utar jata hai gandum ka khumar zehn ki shakhon se ud jate hain panchhi dhyan ke