phul ka paigham le jae koi mali ke nam

phul ka paigham le jae koi mali ke nam
us sarapa fasl-e-gul gulzar ke wali ka nam

main bahadur-shah-e-'zafar' aur dard ka rangun hai
kya likhun 'ghaalib' ke nam aur kya likhun 'haali' ke nam

sabza-e-begana ho ya lala-o-gul ki qaba
waqf hai mera lahu gulshan ki hariyali ke nam

likh raha hun apne hathon ki kharashon ka salam
yar ke dast-e-hinai ki hasin lali ke nam

ai nadim-e-mah-o-anjum aa koi paigham de
pastiyon mein dagmagati be-par-o-baali ke nam

asl mein sail-e-khizan lata hai paigham-e-bahaar
har shagufa har kali har pat har dali ke nam

tera diwana 'hazin' mansub karta hai ba-shauq
ye ghazal ai ishq teri fitrat-e-ali ke nam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close