phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi

phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi
ye wafa kaisi thi sahab ye murawwat kaisi

dost ahbab se hans bol ke kat jaegi raat
rind-e-azad hain hum ko shab-e-furqat kaisi

jis hasin se hui ulfat wahi mashuq apna
ishq kis chiz ko kahte hain tabiat kaisi

hai jo qismat mein wahi hoga na kuchh kam na siwa
aarzu kahte hain kis chiz ko hasrat kaisi

haal khulta nahin kuchh dil ke dhadakne ka mujhe
aaj rah rah ke bhar aati hai tabiat kaisi

kucha-e-yar mein jata to nazara karta
qais aawara hai jangal mein ye wahshat kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close