khayal-e-tark-e-tamanna na kar sake tu bhi udasiyon ka mudawa na kar sake tu bhi kabhi wo waqt bhi aae ki koi lamha-e-aish mere baghair gawara na kar sake tu bhi khuda wo din na dikhae tujhe ki meri tarah meri wafa pe bharosa na kar sake tu bhi main apna uqda-e-dil tujh ko saunp deta hun bada maza ho agar wa na kar sake tu bhi tujhe ye gham ki meri zindagi ka kya hoga mujhe ye zid ki mudawa na kar sake tu bhi na kar khayal-e-talafi ki mera zakhm-e-wafa wo zakhm hai jise achchha na kar sake tu bhi