phir hasin wadi-e-gulshan mein saja li aankhen jab se us shokh ki dekhi hain ghazali aankhen tu ne ai dost ye kyon mujh se chura li aankhen ab liye phirta hun dar dar pe sawali aankhen dil mein uthne lage tufan-o-hawadis paiham un ki aankhon se ye kyon main ne mila li aankhen muztarib ho gaya dil apna nazaron ke liye dekh kar mujh ko kisi ne jo chhupa li aankhen meri aankhon ko mayassar tha sukun jin ke sabab chhup gain jaane kahan ab wo misali aankhen kaise hum karte tamannaon ka izhaar 'amir' lab idhar khole udhar us ne nikali aankhen