phir is ke baad rasta hamwar ho gaya jab khak se khayal numudar ho gaya ek dastan-go hua aisa ki apne baad sari kahaniyon ka wo kirdar ho gaya saya na de saka jise diwar ka wajud us ka wajud naqsh-ba-diwar ho gaya aankhen buland hote hi mahdud ho gain nazren jhuka ke dekha to didar ho gaya wo dusre dayar ki baaton se aashna wo ajnabi qabile ka sardar ho gaya soe hue karenge 'malal' us ka tajziya is khwab-gah mein koi bedar ho gaya