kal raat kai khwab-e-pareshan nazar aae jo shahr ki aabaad the viran nazar aae bikhri hui rondi hui lashon se guzar kar tute hue minar-e-shahidan nazar aae kohsar-e-himala ki jhalak khwab mein dekhi ganga mein ubalte hue tufan nazar aae pahle to kisi qarya-e-barbaad mein thahre aage jo badhe gor-e-ghariban nazar aae mahki hui ajdad ki khushbu se hawaen har-gam pe aasar-e-azizan nazar aae jis ghar mein farishton ki ziya thi usi ghar mein arwah-e-khabisa ke charaghan nazar aae jo matla-e-taqdis-e-mohabbat the wo chehre khafagi ke sabab hum se gurezan nazar aae hum jin ko dagha de ke kahin bhag gae the wo ahl-e-haram ba-sar-e-uryan nazar aae ek pir-e-muqaddas ka hayula nazar aaya phir rish-e-safed-o-dur-e-dandan nazar aae hum jin ki pareshani-e-khatir ka sabab the wo aalam-e-ruya mein pareshan nazar aae ek daman-e-ismat ki kiran dur se phuti daman pe kai gauhar-e-ghaltan nazar aae thi jis ke tabassum mein malaek ki halawat sad-haif ki wo khwab mein giryan nazar aae is shahr ko jo shakhs ke maulid ka sharaf ho wo shakhs usi shahr mein mehman nazar aae lab par hai 'rais' apne ye misra kai din se kal raat kai khwab pareshan nazar aae