phir jo dekha dur tak ek khamushi pai gai main to samjha tha ki ek meri hi goyai gai phir wahi baadal ki ji udne ko chahe jin ke sath phir wahi mausam ki jab zanjir pahnai gai phir wahi tair wahi un ki ghazal-khwani ke din phir wahi rut jis mein meri naghma-pairai gai kuchh to hai aakhir jo sara shahr tariki mein hai ya mera suraj gaya ya meri binai gai tham gae sab sang sab shor-e-malamat ruk gaya main hi kya ji se gaya sari saf-arai gai puchhti hai dastaken de de ke shorida hawa kis ka khema tha ki jis mein raushni pai gai