sanam kucha tera hai aur main hun ye zindan-e-dagha hai aur main hun yahi kahta hai jalwa mere but ka ki ek zat-e-khuda hai aur main hun idhar aane mein hai kis se tujhe sharm faqat ek gham tera hai aur main hun kare jo har qadam par ek nala zamane mein dira hai aur main hun teri diwar se aati hai aawaz ki ek baal-e-huma hai aur main hun na ho kuchh aarzu mujh ko khudaya yahi har dam dua hai aur main hun kiya darban ne sang-e-astana dar-e-daulat-sara hai aur main hun gaya wo chhod kar raste mein mujh ko ab us ka naqsh-e-pa hai aur main hun zamane ke sitam se roz 'nasikh' nai ek karbala hai aur main hun