phir khinch gai achanak hamdam kaman-e-taqdir

phir khinch gai achanak hamdam kaman-e-taqdir
aae dil-e-hazin par jaur-o-sitam ke phir tir

ghairon se jab mile hum apna bana ke chhoda
aur kar sake na us ko karna tha jis ko taskhir

auron ke chaak-qismat hum ne rafu kiye the
aur si sake na apna afsos chaak-e-taqdir

is darja su-e-zan hai har baat dil shikan hai
lae kahan se har din ek dil naya ba-dil-gir

pas-e-wafa hamara mohar-e-dahan bana hai
kis tarah ho sakegi ahwal-e-dil ki tafsir

aazad kab thi bulbul jo dam mein phansi ab
sayyaad khud rag-e-gul thi us ke haq mein zanjir

kyon surkh ho rahi hain phir tiliyan qafas ki
ai ashk-e-khun naya gul shayad khilae taqdir

aaya jo dar pe mujrim rahmat ne us ko bakhsha
kya qabil-e-muafi apni nahin thi taqsir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close