phir chhuT gaya hath se daman-e-tamanna

phir chhut gaya hath se daman-e-tamanna
phir lut liya bakht ne saman-e-tamanna

phir jam gaya virane ka naqsha mere ghar mein
taraj hua phir sar-o-saman-e-tamanna

har samt andhera hai nazar kuchh nahin aata
gul ho gai phir shama-e-shabistan-e-tamanna

muddat se hai ek mauj tah-e-ab si dil mein
ab josh pe aata nahin tufan-e-tamanna

socha kiye aaegi kabhi fasl-e-bahaari
murjha gaya aakhir chaminstan-e-tamanna

saqi hai na sahba hai na saghar na subu hai
barham hui wo bazm-e-khumnistan-e-tamanna

tufan ki maujon ke karam par hai safina
hai khaliq-e-alam hi nigahban-e-tamanna

jite hain faqat maut ki ummid pe ai 'nur'
daftar mein nahin zist ke unwan-e-tamanna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close