phir koi hadisa hua hi nahin

phir koi hadisa hua hi nahin
koi un ki tarah mila hi nahin

ho chuki pattharon ki barish tak
zakhm-e-ehsas jagta hi nahin

sar se pani guzar chuka hai magar
dil kisi taur dubta hi nahin

tai hue marhale kai lekin
fasla to koi mita hi nahin

un ko kya kya gile rahe hum se
hum ko jin se koi gila hi nahin

aas ne aa ke dam kahan toda
ab ke 'ruhi' pata chala hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close