jawedan qadron ki shaMein bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil

jawedan qadron ki shamen bujh gain to jal uthi taqdir-e-dil
aaj is mitti ke har zi-ruh zarre mein bhi hai taswir-e-dil

apne dil ki rakh chun kar kash in lamhon ki bahti aag mein
main bhi ek sayyal shoale ke waraq par likh sakun tafsir-e-dil

main na samjha warna hangamon bhari duniya mein ek aahat ke sang
koi to tha aaj jis ka qahqaha dil mein hai daman-gir-e-dil

rut badalte hi chaman chu ham-safir ab ke bhi koson dur se
aa ke jab is shakh par chahke mere dil mein baji zanjir-e-dil

kya safar tha be-sada sadiyon ke pul ke us taraf us mod tak
pai-ba-pai ubhra sunahri gard se ek nala-e-dil-gir-e-dil

war duniya ne kiye mujh par to 'amjad' main ne is ghamsan mein
apna sina chir kar rakh di niyam-e-harf mein shamshir-e-dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close