phir koi khalish nazd-e-rag-e-jaan to nahin hai phir dil mein wahi nashtar-e-mizhgan to nahin hai kyun sham se dube se ho ummid ke taro aabaadi-e-dil-e-shahr-e-khamoshan to nahin hai kyun hai dil-e-wahshat-zada bezar gulon se ta-hadd-e-nazar rah-e-bayaban to nahin hai kyun uthne lage aaj qadam jaanib-e-sahra phir josh-e-junun silsila-e-jumba to nahin hai ai dost rah-e-zist bhi hai tira-o-pur-kham lekin ye teri kakul-e-pechan to nahin hai har chot ka hasil hain bilakte hue aansu ye dard ye gham qismat-e-insan to nahin hai ai kash koi mauj mujhe itna bata de sahil pe bhi ye shorish-e-tufan to nahin hai har shai mein tere husn ki zau dekh raha hun han mujh ko teri zat ka irfan to nahin hai phulon ki tarah hansne lage zakhm hazaron dil bhi kahin majruh-e-bahaaran to nahin hai lahrane lage kyun meri palkon mein hasin khwab ye saya-e-gesu-e-pareshan to nahin hai ye rang ye khushbu ye tabassum ye shuaen ye anjuman-e-zohra-jabinan to nahin hai ai dost main jita hun tere gham ke sahaare aghyar ka mujh par koi ehsan to nahin hai yun dil hai har ek ranj-o-alam ka mutahammil lekin gham-e-dauran gham-e-jaanan to nahin hai ye naz ye andaz ye shokhi ye adaen ai dil ye kahin bazm-e-hasinan to nahin hai ye chaal ye aankhen ye nazar dekhna 'muztar' ye shokh wahi rashk-e-ghazalan to nahin hai