phir kuchh na banega jab mere ashkon mein lahu mil jaega

phir kuchh na banega jab mere ashkon mein lahu mil jaega
tum lakh sitamgar ho lekin dekhoge to dil hil jaega

go fikr-o-nazar ki rahon par bithla diye pahre duniya ne
aazad hain ulfat ki rahen dil aaega dil jaega

chalte hain magar ai rah-numa ek shart hamari yaad rahe
hum pahunchenge pahle manzil par phir jada-e-manzil jaega

ai sud-o-ziyan ke matwale arbab-e-wafa ke sath na chal
ye tufan tufan guzrenge tu sahil sahil jaega

gar sabr na aaya tadpunga fariyaad karunga ro lunga
dil todne wale ye to bata aakhir tujhe kya mil jaega

diwana sharik-e-mahfil hai lekin ye ayan hai nazron se
begana-e-mahfil aaya tha begana-e-mahfil jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close