rang-e-nigah mil gaya jalwa-e-be-sifat mein dekh raha hun main unhen bazm-e-tayyunat mein gham ki haqiqaten samajh aish ki kaifiyat mein maut ke khadd-o-khal dekh raushni-e-hayat mein chahta hun ek inqalab zauq-e-jamaliyat mein band-e-naqab khol do bazm-e-tayyunat mein mera wajud hi ajib chiz hai kaenat mein dur tajalliyat se gharq tajalliyat mein mujh ko bula rahe ho kyon kar-gah-e-hayat mein kya kisi chiz ki kami hai abhi kaenat mein raaz ye hal na kar saka koi bhi kaenat mein kis ki tajalliyat hain kis ke mushahidat mein is ka ilaj kya ki main khud hi tabah ho gaya tu ne to kuchh kami na ki koshish-e-iltifat mein ek hi the magar na thi ek ki ek ko khabar main raha hasraton mein gum aur wo tajalliyat mein pesh-e-nazar hai be-hijab husn bhi raaz-e-husn bhi 'shadan' wo rifaten hain aaj mere takhaiyyulat mein