phir lab pe tera zikr hai phir tera nam hai phir jaan lutane walon ka ek izhdiham hai sibt-e-rasul hona hi izzat ki baat hai par us se badh ke tere amal ka maqam hai rasm-e-yazid zulm hai har bar aarzi din-e-husain jidd-o-jahd hai mudam hai hai harb-e-ishq fath ki khwahish se be-niyaz ye baat alag ki haar ke bhi fath nam hai kya gham agar yazid raha eqtidar mein parcham to phir husain ka mir-e-awam hai parcham bana hai phir kai shahron mein tera nam tu karwan-e-jidd-o-jahd ka imam hai