phir laut ke is bazm mein aane ke nahin hain hum log kisi aur zamane ke nahin hain ek dur kinara hai wahin ja ke rukenge jitne bhi yahan ghar hain thikane ke nahin hain yun jagte rahna hai to aankhon mein hamari jo khwab chhupe hain nazar aane ke nahin hain dil hai to ye daulat kabhi madum na hogi ye dard kisi aur khazane ke nahin hain kal raat khamoshi ne ajab rang dikhae ye sher agar hain to sunane ke nahin hain har samt ujala bhi hai suraj bhi hai lekin hum apne charaghon ko bujhane ke nahin hain duniya ne bhi kuchh hum ko bahut gher liya hai kuchh hum bhi use chhod ke jaane ke nahin hain