khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai khumar-e-hosh mein samjhe the hum thokar pe rakkhi hai taaruf ke tale pahchan ghaeb ho gai apni ajab jadu ki topi hum ne apne sar pe rakkhi hai mere hone ka ye tasdiq-nama kis ne likkha hai gawahi kis ki meri zat ke mahzar pe rakkhi hai achanak gar wo be-amad hi kamre mein baramad ho tawajjoh hum ne to markuz baam-o-dar pe rakkhi hai ajab collage hai qismat ka mahrumi ka mehnat ka sitare chhat pe rakkhe hain thakan bistar pe rakkhi hai mata-e-haq-aqida ek sajde mein chura laya khirad juya thi kis dahliz par kis dar pe rakkhi hai nahin qaul-o-qarar-e-jaan-o-dil kafi na the us ko qasam us shokh ne aakhir hamare sar pe rakkhi hai hisab-e-nek-o-bad jo bhi ho hum itna samajhte hain bina-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhi hai