phir lutf-e-khalish dene lagi yaad kisi ki phir bhul gai yaad ko be-dad kisi ki phir ranj-o-alam ko hai kisi ka ye ishaara ujdi hui basti karo aabaad kisi ki phir khat ka jawab ek wahi tanz ka misra majbur hai kyun fitrat-e-azad kisi ki phir de ke khushi hum use nashad karen kyun gham hi se tabiat hai agar shad kisi ki phir pand-o-nasihat ke liye aane lage dost wo dost jo karte nahin imdad kisi ki phir shahr mein charcha hai nai sang-zani ka akhbar mein phir darj hai rudad kisi ki phir bab-e-asar ka koi rasta nahin milta phir bhatki hui phirti hai fariyaad kisi ki phir khak udate hue phirte hain bagule phir dasht mein mitti hui barbaad kisi ki phir main bhi karun kyun na 'hafiz' is pe tasallut jagir nahin tab-e-khuda-dad kisi ki