o dil tod ke jaane wale dil ki baat batata ja ab main dil ko kya samjhaun mujh ko bhi samjhata ja han mere majruh tabassum khushk labon tak aata ja phul ki hast-o-bud yahi hai khilta ja murjhata ja meri chup rahne ki aadat jis karan bad-nam hui ab wo hikayat aam hui hai sunta ja sharmata ja ye dukh-dard ki barkha bande den hai tere data ki shukr-e-neamat bhi karta ja daman bhi phailata ja jine ka arman karun ya marne ka saman karun ishq mein kya hota hai naseh aql ki baat sujhata ja tujh ko abr-alud dinon se kaam na chandni raaton se bahlata hai baaton se bahlata ja bahlata ja donon sang-e-rah-e-talab hain rah-numa bhi manzil bhi zauq-e-talab har ek qadam par donon ko thukraata ja naghme se jab phul khilenge chunne wale chun lenge sunne wale sun lenge tu apni dhun mein gata ja aakhir tujh ko bhi maut aai khair 'hafiz' khuda-hafiz lekin marte marte pyare wajh-e-marg batata ja