phir mujh ko khurshid-e-tamanna wala mausam de dena zakhm agar dena to apni yaad ka marham de dena dil ka aalam to sadiyon se khushk jazire jaisa hai is sukhi dharti ko apne pyar ka zamzam de dena bagh-e-tamanna ka har ghuncha aas lagae baitha hai murjhane se pahle in phulon ko shabnam de dena ummid-o-na-ummidi se ranj-o-khushi se baala-tar ab jo agar dena to mujhe tum aisa aalam de dena apni kala se pahle ugana rag koi albela sa phir mere fan ki lahraati us ko sargam de dena kha jaega rafta rafta mera akela-pan mujh ko pahle soch samajh lena phir apna matam de dena