uljha rahta hun aksar andeshon mein

uljha rahta hun aksar andeshon mein
nam likha hai mera bhi darweshon mein

ghar ja kar bhi aakhir kya milna hai mujhe
kyon uljhun ulte sidhe updeshon mein

patthar ab bhi jhuk ke salami dete hain
dhaar nahin baqi hai yaro teshon mein

waqt ne aakhir buzdil kahla hi dala
hum bhi gine jate the kabhi nareshon mein

ghar ke log duaen karte rahte hain
main phirta rahta hun desh-wideshon mein

saya pipal sa hai dam lene ko 'waqar'
mahak nirali si hai ghanere keshon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close