phir na koi KHushi nazar aai

phir na koi khushi nazar aai
hansne ko the ki aankh bhar aai

hijr ki zindagi maaz-allah
sham ke bhes mein sahar aai

jis ko sau bar bhulna chaha
us ki yaad aai umr-bhar aai

haal-e-dil ab kisi se kya kahiye
baat ki aur aankh bhar aai

hum ne jis samt bhi qadam rakkha
samne un ki rahguzar aai

yaad aate hi un ki pahli nazar
dil ki har chot phir ubhar aai

khanda-e-gul ko dekh kar 'shaariq'
hansna chaha tha aankh bhar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close