rasai ahl-e-dil ki hai jahan tak

rasai ahl-e-dil ki hai jahan tak
khirad wale na pahunchenge wahan tak

hawa-e-tund ho ya barq-o-baran
ye sari aafaten hain aashiyan tak

kisi ki justuju mein chal diye hain
junun ab dekhen le jae jahan tak

meri barbaadiyan phir rang lain
ujala hai qafas se aashiyan tak

koi kya jaane kitne fasle hain
haram se us ke sang-e-astan tak

hamein bhi dekhna hai ab to 'shaariq'
mitaegi hamein duniya kahan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close