phir nuqush-e-ma-siwa ka dil mein tufan dekh kar

phir nuqush-e-ma-siwa ka dil mein tufan dekh kar
un ko aana hi pada mujh ko pareshan dekh kar

dekh kar ek bar un ko band aankhen ho gain
dekhta bhi kya jamal-e-ru-e-taban dekh kar

jis tarah dariya mein hota hai sukun tufan ke ba'd
aa gai hai nind ek khwab-e-pareshan dekh kar

justuju mein jis ki chhae the zamin-o-asman
mahw-e-hairat hun use nazd-e-rag-e-jaan dekh kar

main to aaya tha yahan tauqir-e-insan dekhne
hat gaya duniya se dil insan ko arzan dekh kar

ab to shayad aa hi jaega mere dil ko qarar
mutmain hun phir kisi ko mahw-e-darman dekh kar

mangne ko main to mangunga zamin-o-asman
aap mujh ko dijiyega mera daman dekh kar

ab to tum tartib de sakte ho afsana mera
thak gaya hun main to auraq-e-pareshan dekh kar

hum 'shifa' aarasta karte rahe dair-o-haram
wo hue mehman dil mein dil ko viran dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close