phir mujhe har sitam gawara hai aap kah den ki tu hamara hai multafit aap bhi hue hain aaj jab mujhe maut ne pukara hai maut jab zindagi se behtar thi hum ne wo waqt bhi guzara hai tum mujhe ghair kyon samajhte ho ab mera har-nafas tumhaara hai muddaton gham ko raaz mein rakkha ab to ye raaz aashkara hai dub jaenge dubne wale ek tinke ka kya sahaara hai tum hi yaad aae ho musibat mein jab pukara tumhein pukara hai tum agar mai pilao aankhon se talkhi-e-zist bhi gawara hai ai 'shifa' dost se nahin shikwa hum ko apni wafa ne mara hai