phir qissa-e-shab likh dene ke ye dil haalat banae hai har sher hamara aakhir ko teri hi baat banae hai tum ko hai bahut inkar to tum bhi is ki taraf ja kar dekho wo shakhs amawas raat ko kaise chandni raat banae hai ab khwab mein bhi us zalim ko bas hijr ka sauda rahta hai ai jazba-e-dil tu kis ke liye ye phul aur pat banae hai kya hosh-o-khirad kya harf-o-nawa sab apne liye bekar hue qirtas-e-nazar par tanhai bite lamhat banae hai har bar wahi hijran hijran ka shor machane wala dil apni hi kare hai rishta-e-gham tere hi sat banae hai kya jaaniye ab ke mausam mein kab waqt ke ji mein kya aae kis ki auqat bigade hai kis ki auqat banae hai ye tera diwana raat gae malum nahin kyun pahron tak aansu ki lakiron se kitne naqsh-e-jazbaat banae hai