nazzargi-e-shauq ne didar mein khincha phir main ne use apne hawas-zar mein khincha khulti nazar aati hai qaba-e-gul-e-maqsad ehsas-e-talab ne jo use khar mein khincha hai didani gul-kari-e-ehsas-o-takhayyul kya aariz-e-gul ko lab-e-izhaar mein khincha taswir si ek ban gai kya jaaniye kis ki qatron ne nam apna meri diwar mein khincha ta-hadd-e-nazar khulti gai zulf-e-do-alam ehsas ye kis ka dil-e-bedar mein khincha