phir sar pe sham aa gai main raste mein hun ek ajnabi sadak hai kisi hadse mein hun ek gard-baad hai mujhe hadd-e-nigah tak tanha nahin hun dhul-bhare qafile mein hun tanhaiyon ne phir tera chehra pahan liya tere baghair bhi main tere daere mein hun tu ne to mujh ko aks-e-muqayyad samajh liya thodi si der aur tere aaine mein hun mera bhi zikr tha tere dil ki kitab mein qirtas par nahin hun magar hashiye mein hun sau sal mujh pe bite hain suraj bujhe hue sau sal jaisi raat se main ratjage mein hun patthar ki murti mein hai sadiyon ka intizar main bhi asir-e-jism hun aur faisle mein hun phir be-ghari ka khauf hawaon mein ghul gaya sat aasman tere hain main ghonsle mein hun