wo yak-ba-yak use dal mein utarne ka amal

wo yak-ba-yak use dal mein utarne ka amal
wo apni zat pe shab-khun marne ka amal

hazar waswase dil mein aur ek dahakta alaw
hayat-e-dasht mein raaten guzarne ka amal

bas ek khosha-e-gandum aur aisi dar-ba-dari
wo aasman ko zamin par utarne ka amal

ye umar mez hai gawayya qimar-khane ki
bas ek jit ki khwahish mein haarne ka amal

wo band khushbu ka baad-e-saba ke wo nakhun
kali ke jism se kapde utarne ka amal

ghazab ka shor machate hoe ye sannate
wo be-sada bhi kisi ko pukarne ka amal

hui hai sham phir ashkon se ek wazu ho 'nadim'
phir ek raat sitare shumarne ka amal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close