phir sun raha hun guzre zamane ki chap ko

phir sun raha hun guzre zamane ki chap ko
bhula hua tha der se main apne-ap ko

rahte hain kuchh malul se chehre pados mein
itna na tez kijiye dholak ki thap ko

ashkon ki ek nahr thi jo khushk ho gai
kyunkar mitaun dil se tere gham ki chhap ko

kitna hi be-kanar samundar ho phir bhi dost
rahta hai be-qarar nadi ke milap ko

pahle to meri yaad se aai haya unhen
phir aaine mein chum liya apne-ap ko

tarif kya ho qamat-e-dildar ki 'shakeb'
tajsim kar diya hai kisi ne alap ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close