parda-e-shab ki ot mein zohra-jamal kho gae dil ka kanwal bujha to shahr tira-o-tar ho gae ek hamein hi ai sahar nind na aai raat bhar zanu-e-shab pe rakh ke sar sare charagh so gae rah mein the babul bhi rud-e-sharar bhi dhul bhi jaana hamein zarur tha gul ke tawaf ko gae dida-waro bataen kya tum ko yaqin na aaega chehre the jin ke chand se sine mein dagh bo gae dagh-e-shikast dosto dekho kise nasib ho baithe hue hain tez-rau sust-khiram to gae ahl-e-junun ke dil 'shakeb' narm the mom ki tarah tesha-e-yas jab chala tuda-e-sang ho gae