phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya

phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya
jin jin ke lambe daman the un ka ifsha raaz kiya

zahr-e-nasihat tir-e-malamat dars-e-haqiqat sab ne diye
ek wahi tha jis ne meri har aadat par naz kiya

naqd-e-talluq khub kamaya lekin kharch are tauba
ye to batao kal ki khatir kya kuchh pas-andaz kiya

shahr mein is kaifiyat ka hai kaun muharrik kuchh to kaho
jis kaifiyat ne tum ko diwanon mein mumtaz kiya

ku-e-malamat ke bashinde tum ko sajda karte hain
kis ne is basti mein aakhir aise sar-afraaz kiya

dehli mein rahna hai agar to tarz-e-mir zaruri hai
us ne bhi to ishq kiya phir yan rahna aaghaz kiya

pahle udne ki dawat di ta-hadd-e-imkan 'siraj'
phir jaane kyun khud hi us ne qata par-e-parwaz kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close