ghair ke aage ye sar kham dekhiye kab tak rahe be-hisi ka ab ye aalam dekhiye kab tak rahe dost aur dushman ke chehre ta-ba-kai wazeh na hon dip ki lau itni maddham dekhiye kab tak rahe kab duaen mustajab hon kab hamare din phiren dil pareshan aankh pur-nam dekhiye kab tak rahe raushni ke jashn mein hael na the shab ke rafiq chand tare aur shabnam dekhiye kab tak rahe jo muharrik hai mere takhliq-e-fan ke waste fikr mein ye shiddat-e-gham dekhiye kab tak rahe kaise kaise sar-kashida jhuk gae ek war se han magar sina-sipar hum dekhiye kab tak rahe barf bhi pighlegi aur suraj bhi chamkega zarur sard-mehri ka ye mausam dekhiye kab tak rahe