phir tere ochhe KHayalat ne dil toD diya

phir tere ochhe khayalat ne dil tod diya
tanz mein dube khitabaat ne dil tod diya

lab-kushai ki zarurat thi to khamosh rahe
be-sabab ramz-o-ishaaraat ne dil tod diya

main to ab lafz-e-mohabbat se laraz uthta hun
teri is darja inayat ne dil tod diya

main samajhta tha tere dil mein makin hun lekin
tere andaz-e-mudaraat ne dil tod diya

teri ghazlon mein nae daur ke uslub nahin
tere farsuda khayalat ne dil tod diya

mustaqil kaun tera sath nibhaega yahan
ek do pal ke tere sath ne dil tod diya

aap ki zat se thi mujh ko tasalli ki umid
aap ke ashkon ki barsat ne dil tod diya

wo mera dost bhi ho sakta hai jaani dushman
kya bataun mere khadshat ne dil tod diya

jin se ho jati hai iman se duri 'ajmal'
aise afkar-o-nazaryat ne dil tod daya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close