phir teri yaadon ki phunkaron ke bich nim-jaan hai raat yalghaaron ke bich unghta rahta hai aksar mahtab raat bhar hum chand be-daron ke bich gunjti rahti hai mujh mein dam-ba-dam chikh jo ubhri na kohsaron ke bich dekhta aakhir main us ko kis tarah raushni ki tez bauchhaaron ke bich kho hi jata hun tere qisse mein main barha gumnam kirdaron ke bich ek adna sa diya hai aaftab mere man ke gahre andhiyaron ke bich qaid se apni nikalte kyun nahin zakhm kab bharte hain diwaron ke bich sanehe chhapne lage hain aankhon mein nabz tham jae na akhbaron ke bich tha mahawat aur phir judwan bahaw bah gaya main gungune dhaaron ke bich