sulagti nazron ka khwab ho tum mohabbaton ka shabab ho tum samajh na pai jise kabhi main kitab-e-dil ka wo bab ho tum kaho to juz dan mein chhupa lun khuli hui ek kitab ho tum bichhe the rahon mein phul kitne jo bha gaya wo gulab ho tum bura kahe tum ko lakh duniya mere to aali-janab ho tum nahin hai bas main tumhein bhulana ajab tarah ka azab ho tum laga ki manzil tumhi ho lekin nazar ka meri sarab ho tum wafa se aari sahi mizajan wafa ka meri jawab ho tum kai sawalon mein tum ghire ho magar bahut la-jawab ho tum ulat ke rakh di hai meri duniya hayat ka inqalab ho tum main rag rang aur raqs jaisi ghazal tarannum rabab ho tum ye nashsha tuta na zindagi-bhar bahut purani sharab ho tum ai jaan 'bano' ye jaan lo ab ba-zat-e-khud intikhab ho tum