phir to is be-nam safar mein kuchh bhi na apne pas raha teri samt chala hun jab tak samton ka ehsas raha teri gali mein tut gae sab jurm-o-saza ke paimane ek tabassum dekhne wala sari umr udas raha gulchin ke chehre ki rangat roz badalti rahti thi ranj-o-khushi ke har mausam mein phul ka ek libas raha jin ki dard-bhari baaton se ek zamana ram hua 'qasir' aise fan-karon ki qismat mein ban-bas raha