zakhmi dilon ki pyas sarabon mein gum hui jo chashm wa thi bujhte charaghon mein gum hui phirti hai us ko dhundti ab maut ku-ba-ku ye zindagi to teri nigahon mein gum hui chalna likha hai apne muqaddar mein umr bhar manzil hamari dard ki rahon mein gum hui hum dhundne chale hain kahan paikar-e-khayal chashm-e-hawas to gum-shuda khwabon gum hui khushbu ne rasta chhod diya intizar ka mitti mein khufta bikhre gulabon mein gum hui auraq ke palatne se kuchh bhi nahin mila danish hamari sari kitabon mein gum hui 'mamun' zauq-e-ishq se milta bhi kya hamein aab-e-rawan ki mauj kitabon mein gum hui