phir uge ek aaftab naya aur phulon pe ho shabab naya likkhun is tarah dastan-e-jahan goya har ek waraq ho bab naya saf kar jo bhi the gunahon ko ai khuda mujh se le hisab naya us ki surat ka jab khayal aaya dil mein utra hai mahtab naya us ne mujh se ajab sawal kiya tha mera bhi koi jawab naya jis ko hum aab-ju samajhte the samne tha wahi sarab naya meri hasti hai kya 'nasim' aisi jaise ho kanch ka habab naya