chahaton ke zawal par chup hun dil ke har ek malal par chup hun de gae dhoka jo mohabbat mein main to un ke kamal par chup hun de sake nan jawab tum jis ka aaj bhi us sawal par chup hun tum ko chahat ki chah maregi hae tote ki fal par chup hun kya kahun tujh se ai mere hamdam main to apnon ki chaal par chup hun jab qalam ki rawaniyan dekhin us ke lafzon ke jal par chup hun aks us ka mujhe dikhata hai aaine ke khayal par chup hun aabgina hai tut jaega dil ki aisi misal par chup hun jab corona ki hai waba phaili dard ke aise sal par chup hun man ka panchhi ye 'shaz' kahta hai main mohabbat ki dal par chup hun