phir us pal ko khoj raha hun jis mein tera qurb mila tha manzil ki parwa thi kis ko rasta tere sath kata tha us ki aankhen yaad thin mujh ko nam magar main bhul gaya tha tere labon ki baat chali thi main ne phul ko chum liya tha teri yaad ka in aankhon mein ek chashma sa phut raha tha aansu ban kar girta 'arshad' tu ne us ko tham liya tha