tere aane ki mujhe chah piya dil-o-jaan hai chashm-ba-rah piya sab ishq-faqir tere dar ke tu ek akela shah piya hum khak-nashinon ke dam se aabaad teri dargah piya tasdiq to kar mujhe milne ki aa puri kar afwah piya mera sara zahr fana kar de teri mithi ek nigah piya tabir ke khanjar tez bahut hai zakhmi khwab-sipah piya sab samten teri samten hain har rah hai teri rah piya ye kam-ilma be-hunra hai 'arshad' se aap nibah piya